> Blog ki New Post ko kaise promote kare
Dosto agr aap ek new blogger hai too apke apne bog ke
new post ko promote karne me bahut pareshani hoti hogi. Lekin aaj ki iss post
me, mai apko aise method ke bare me batane ja raha hu jaha aap apne blog ke new
post ko bahut jaldi or aasani se promote kr sakte hai orr ye sabhi method
blikul free hai.
Dosto agr hum
kisi bhi product ko promote karna chahte h to aaj ke time me facebook ke bada
koye free platform nahi hai too aap apne new post ko apne facebook page or
facebook account pr jarur share kare. Agr apki new post unique hai to aap
facebook pr apne friends ke photo pr apne post ka link bhi comment kare.
Agr apke pass
bahut sare mobile number hai to aap apne friends ko apne new post ka url link
send kr sakte hai. Aap internet se free SMS send kare. Ye method bahut unique
hai orr method ko bahaut kam log use krte hai.
Aap chahe to
apni post ka link apne WhatsApp se bhi share kar sakte hai, or WhatsApp Group
bhi best option hai.
Agr apka New
post kisi purane post se related hai too aap apne blog ke new post ka url link
apne purane post me kahi bhi add kr sakte hai. Ess method se apke blog ka Time
Spend bhi badhta hai. Jo ki apke Blog ke liye bahut acha hai.
Agr aap ek
blogger hai too aap jante hi hoge ke apke pass ek din me apke follower ke kitne
e-mail aate hai too aise me aap unke apne new post ke bare me bhi bataye or
sath me new post ka link bhi send kare.
Apne social
network website pr dekha hoga ke agr koye apna ek post upload kr raha hai to vo
apne post ke title ko # (hashtags) ko use kr ke upload krta hai. Uske baad koye
bhi person hastags ke sath kisi title ko search krta hai too usko samne uss
topic se related bahut post open ho jati hai.
Aise me aap
bhi Apne post ke title me #(hashtags) ko use kare. Ye method apke ieye sabse
best hai Social media par.
Jaisa aap
jante hai k aaj ke time me YouTube Promoting ka ek bahut bada platform ban gya
hai. So Aap apne blog ki new post se related ek video banaye lekin video banane
se pehle aap apne blog pr apne post upload kr de uske baad apne video me aap
apne post ke bare me hi bataye.
Agr aap
twitter use krte hai too app apne blog ke new post ko promote krne ke liye
sabse pehle us url or title ko tweet kr de uske baad app apne twitter pr uss
post ko pinned kr le. Ye pinned post apne twitter profile pr sabse uper dikhai
dega.
Aap apne post
ko google+ pr jarur dale. Quke google pr apne post ko rank karane ke liye
google+ ek acha platform hai.
0 Comments