Dosto aaj ki iss Post mai, me apko batane ja raha hu ke aap apne mobile ki battery ko kaise save kr sakte hai. Yani aap apne mobile ki battery ko pure din tak kaise use kr sakte hai.
> Tips to Save Mobile Battery
Tips 1 : Network
Dosto Bahut log apne mobile ka Wi-fi ya Bluetooth ek baar on krne ke baad me unko off nahi krte yani apko Wi-fi ya Bluetooth ko uske krne ke baad usko off kr dena chahiye varna isse apke Mobile ki Battery waste hoti hai.
Tips 2 : Apps Auto Update
Dosto agr apke phone ke PlayStore me App Auto Update me lage hai to apko usko off kr dena hai. Ye Apke Mobile ke Battery bahut jayada waste krta hai.
Note – Aap Apne Mobile ke App ko Battery Charge karte Time Update kare !
Tips 3 : Mobile Touch Sound and Vibrate
Dosto ager apne Mobile ke Touch Sound ko on kr rakha hai to aap usko off kr de.kyuki iska kuch bhi fayada nahi hota or sath me aap Mobile Touch Vibrate ko bhi off kar le.
Tips 4 : Screen Brightness
Dosto apne dekha hoga ke lagbag sabhi log Apne mobile ke screen brightness ko Auto Mode pr rakehte hai , jo apko bilkul bhi nahi krna . apko apne mobile screen ke brightness ko apne heesab se select krna hai.
Note – Auto Brightness apke mobile phone ki sabse jayada Battery ko waste krta hai
Tips 5 : Wallpaper
Dosto apko apne mobile phone me Live wallpaper ko bilkul bhi use nahi krna nahi krna chahiye or na hi apne Gallery se koi wallpaper use krna chahiye.
Apko bss apne mobile ke Wallpaper ko hi use krna chahiye jo ke usme pehle se hi hote hai.
Tips 6 : Apps Notification
Apne dekha hoga ke kuch mobile apps ke notification hr 1 ya 2 min me baar – baar aate hai ( facebook , WhatsApp , Games App etc ).
Aise me apko jo app jayada important na lage to apko unke Notification ko off kr sakte hai jise ki aap apne mobile ke battery ko jayada se jayada save kr sakte hai,
Tips 7 : Mobile Charger
Apko kisi bhi Local charger se apne mobile ko charge nahi karna chahiye balki original charger me aap kisi bhi brand ke charger use kr sakte ho..
Local charge se apke phone blast hone ka khatra bhi rehta hai.
Tips 8 : Extra Features App
Aap apne Mobile me extra features app ko use na kare .
Example – Auto Flash Light
Mobile Screen color Light
Control Phone Other Devise …. ect.
Tips 9 : Off Mobile
Apko apne Mobile ko daily kam se kam 30 minute tak off krna chahiye. Ye apke mobile ki battery life ko acha krta hai.
Tips 10 : Mobile App
Aap apne mobile me jayada App Install na kare balki unhi app ko apne mobile me install rakhe jinko aap use krte hai.
Jin app ko aap use nahi krte un apps ko Uninstall kr de.
Agr aap ke paas Battery Save karne ke bare me koi Tips hai to aap humko comment karke jarur bataye or apko ye post kaise lagi ye bhi bateye or iss post ko jayada se jayada share kare ..
Thanks You !
3 Comments
This comment has been removed by the author.
ReplyDeletegood
ReplyDeletethanks you !
Delete