Affiliate program kya hai | Amazon Affiliate program se paise kaise kamate hai puri ki jankari hindi me


Aaj ke time me hr koi online paisa kamana chahta hai or aaj ki iss post me, mai apko batane ja raha hu ki aap Amazon se paise kaise kama sakte hai. Me iss post me apko Amazon Affiliate program  ke bare me batane ja raha hu.
Dosto aap sab jante hai ke Amazon ek E-commerce websites hai orr E-commerce ( Online Shopping Website ) me bahut competition hai too aise me lagbag sabhi Popular E-commerce website me apko affiliate program mil jayega.



 > Affiliate program  kya hai 

Affiliate program kisi bhi e-commerce website ka commission program hota hai yani iss program ki help se aap kisi bhi e-commerce website ka product ko apne affiliate link se sell krte hai too apko vo website uss product pr 12% tak commision dete hai. Ye commision hr product ke liye alag–alag hota hai.



 > Amazon Affiliate program  se paise kaise kamate hai 

Amazon Affiliate program se paise kamane ke liye apko , Amazon Affiliate program pr apna account banana hoga uske baad aap amazon ke  kisi bhi product ka Affiliate link le sakte hai orr phir aap uss iss link ko apne Blog, YouTube Channel, Facebook page ya WhatsApp pr logo ko share kr sakte hai. Uske baad agr koi bhi Person apke link se vo Product khareedta hai to apko eske paise milte hai.

 > Amazon Affiliate program  pr apna Account Kaise banate hai 
Amazon Affiliate program pr account banane ke liye apko niche likhe steps ko follow krna hoga.

 STEP 1 : Sabse pehle apko uss link ko Open krna hai

 STEP 2 : Uske baad apko Join Now for Free pr click krna hai or phir apko Create Your Amazon Account pr click krna hai

STEP 3 : Uske Baad apko yaha pr apne Details dalni hai.
1.      Your Name – Sabse pehle apko yaha pr apna Name dalna hai.
2.      E-mail – Ab apko yaha pr apne e-mail Id dalni hai.
3.      Password – Aap yaha pr koi bhi password choose kr sakte hai.
4.      Password Again – Apko yaha pr apna uper vala password dobara dalna hai.
 or phir apko Create your Amazon account pr click krna hai.

STEP 4 : Ab apke samne ek new option aa jayega. Apko yaha pr apne information dalni hai.
1.      Payee Name :  Apko yaha pr apne pura name dalna hai jo apke Bank Account me likha hai.
2.      Address Line  :  Apko yaha apne ghar ka Address likhna hai.
3.      City : Apko yaha pr apne city ka name likhna hai.
4.      State, Province or Region : Apko yaha pr apne State ka name likhna hai ( U.P. /M.P. ect.)
5.      Postal Code : Apko yaha pr apne Postal code ya Pin code dalna hai.
6.      Country : Apko yaha pr apne country ka name likha hai ( India, Pakistan, Nepal ect )


7.      Mobile Number : apko yah pr apna mobile number dalna hai.
8.      Who is the main contact for this account : apko yaha pr This payee listed above ko select krna hai.
9.      For U.S. tax purposes,  are you a U.S. person? : Agr aap U.S. ( United State of America ) se hai to aap Yes ko select kare orr agr aap india se hai to No select kare.
Bss ab apko Next pr click kr dena hai. Ab aap new Page me aa jayege.

STEP 5 : Ab apko yaha pr apne Blog ya mobile aap ka link dalna hai  or next pr click kr dena hai.


STEP 6 : ab apko apne blog ke bare me kuch info  dalni hai.


Or finish pr click kr dena hai.


1.      Ye apka Username hai.
2.      Agr apko apne bank info dalne hai to aap Now pr click kr sakte hai, agr aap apni bank detail bad m dalna chahte hai to Later pr click kr dey.
Ab aapka Account ready hai aap yaha pr apne sabhi info dakh sakte hai


1.      Aap yaha Apen earning or click ka Grape mil jayega.
2.      Aap yaha pr apne Earning dakh sakte hai.
3.      Yaha aap dakh sakte hai ke apke Affiliate link pr kitne click huye.

 > Kisi bhi product ka Affiliate link kaise create kare 
Apko Sabse pehle Amazon.in open krna hai or apni jis email id se account  create kiya tha us email id se login ho jana hai, or uske baad jiss product ka Affiliate link lena hai uss product ko Amazon.in me search krna hai.


Phir apko uss product ke uper ek option milega Get Link , too aap yaha se uss product ka link le sakte hai . aap Vaha se Only text link bhi ly sakte hai ya with image bhi link le sakte hai.
Agr aap is Link ko apne YouTube Channel, Facebook page ya WhatsApp par share karna chahte hai to only Text par click krke us code ko copy karke share kar skte hai,
Or agr aap Affiliate Link ko Apne Blog, Ya Website par share karna chahte hai to yaha par agr aap us product ka photo bhi show karwana chahte hai to with image wala code copy karke apni blog ke backend me copy kar de.
Image vala code apko HTML me hi milega.

 > Amazon apko kis product pr kitna commision deta hai. 


Jayada jankari ke liye Click here - https://goo.gl/Ebd17S
Dosto agr apko ye article pasand aaya h to isko like or share kare, or agr apki problem ho to aap hame comment karke bta sakte hai.

:: You Like ::

Flipkart Affiliate Program se paise kaise kamate hai puri jankari hindi me


Post a Comment

0 Comments